Kabhi Aisa Bhi Hota Hai



کبھی ایسا بھی ھوتا ھے
بہت کہنے کی چاھت ھو
بھت لکھنے کی خواھش ھو
قلم کو تھام بھی لیں تو ، حرف گمنام ھوتے ھیں
کبھی ایسا بھی ھوتا ھے

بیان مدعا کر لو ، بہت سی گفتگو کرلو
توکچھ حاصل نہیں ھوتا
 ، کہ لفظو ں کا اثا ثہ پھر یونہی بیکار جاتا ھے
کبھی ایسا بھی ھوتا ھے
ادا اک لفظ بھی نہ ھو ، کوئ بھی گفتگو نہ ھو
خاموشی بات کرتی ھے،سماعت میں اتر جاتے ھیں لفظوں کے حسیں موتی
( کہ خاموشی بھی گویائ کی دعویدار ھوتی ھے )
خوشی کی ساعتوں کا پھر کوئ اک مہر باں جھونکا
اثاث قیمتی بنکر محیط زیست ھوتا ھے
مہکتی راحتو ں کا خوشنما پیغام ھوتا ھے
گزرتی ساعتوں کا دلربا انجام ھوتا ھے ۔ ۔ ۔
کبھی ایسا بھی ھوتا ھے
امنگیں مسکراتی ھیں ، بہاریں گنگاتی ھیں ، فضائیں گیت گاتی ھیں
خوشی کی وادیوں میں زندگی بھی کھلکھلاتی ھے
دلوں میں چاہ ھوتی ھے کہ ان لمحوں کو ھاتھوں میں پکڑ کر
زندگی کرلیں ، یہ لمحے قید میں کرلیں ۔ ۔ ۔
کبھی ایسا بھی ھوتا ھے ۔ ۔
پھسلتی ریت کی صورت ، نکل جاتے ھیں ھاتھوں سے یہ سب انمول سے لمحے
کبھی ایسا بھی ھوتا ھے
کہ ایسا وقت آتا ھے کہ ۔ ۔ ۔
ساری راحتوں اور الفتوں کو چھین کر ھمکو، تہی دامن بناتا ھے
وفا حیران ھوتی ھے ، جفائیں مسکرا تیں ھیں ،
زخم دیتا ھے ھر لمحہ ، سلگتے پل نہیں کٹتے
دکھوں کی ساعتوں میں پھر یہ منظر ٹھہر جاتاھے
غموں اندوہ کے صحرا میں،کسی قطر ے کی خواھش میں
بھٹکتا ھے بیاباں میں ۔ ۔ ۔ مگر پیاسا ھی جاتا ھے
یہ ھی وہ وقت ھوتا ھے کہ انساں ھارجاتا ھے
کبھی ایسا بھی ھوتا ھے ۔ ۔
لب دریا پہ رہ کر بھی،تشنگی ساتھ ھوتی ھے
کبھی ایسا بھی ھوتا ھے
کہ خالی جام ھو پھر بھی،یہ جاں سیراب ھوتی ھے
کبھی ایسا بھی ھوتا ھے
کہ ساری عمر کا رونا،یونہی بیکار جاتاھے
کوئ آنسو بہاتا ھے، تڑپتا ھے سلگتا ھے، تہی دامن ھی رھتا ھے
کبھی ایسا بھی ھوتا ھے
کسی کو بھولنا چاھیں، محبت چھوڑنا چا ھیں ۔ ۔ ۔
مگر کچھ کر نہیں سکتے، بھلا ہر گز نہیں سکتے
خوشی اور دکھ کا سنگم ہی ۔ ۔ روانی زندگی کی ھے
صبح اور شام کا چلنا، نظام زندگی ھی ھے
کبھی سایہ کبھی جلنا، دوام زندگی ھی ھے
کبھی ایسا بھی ھوتا ھے
کسی لمحے میں انساں سوچتا ھے،کیوں وہ بے بس ھے؟
کہ سب کچھ پاس بھی ھو کر، تہی دامن سا جیون ھے
انہی لمحوں میں پھر یہ یاد آتا ھے کہ،کوئی ھے
کہ جسکے اک اشار ے سے ھے کار زیست میں حرکت
اسی کا اک کرم ھو جائے گر بند ے کی ھستی پر
تو دریا ئے غموں میں نازؔ بیڑہ پار ھوجا ئے

اقرا نازؔ

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Kabhi aisa bhi hota hai
Buhat kehne ki chahat ho
Buhat likhne ki khwahish ho
Qalam ko thaam lain bhi to, Harf gumnaam hotey hain
Kabhi aisa bhi hota hai
Bayan mud'aa karlo, buhat si guftagoo karlo
To kuch haasil nahi hota
Ke lafzon ka asasa phir yunhi bekaar jata hai
Kabhi aisa bhi hota hai'
Ada ik lafz bhi na ho, koi bhi guftagoo na ho
Khamoshi baat karti hai, sama'at main urat jatey hain lafzom ke haseen moti
(Ke khamoshi main goya'i ki daawedaar hoti hai)
Khushi ki sa'aton ka phir koi ik mehrbaan jhonka
Asasa qeemti ban ka muheet-e-zeest hota hai
Mehkti rahaton ka khushnuma paigham hota hai
Guzarti sa'aton ka dilruba anjaam hota hai
Kabhi aisa bhi hota hai
Umangain muskurati hain, Baharain gungunati hain. Fizain geet gaati hain
Khushi ki wadiyon main zindagi bhi khilkhilati hai
Dilon main chah hoti hai ke in lamhon ko hathon main pakar kar
Zindagi karlain, Yeh lamhey qaid main karlain
Kabhi aisa bhi hota hai
Phisalti rait ki surat, nikal jatey hain hathon se, yeh sab anmol se lamhey
Kabhi aisa bhi hota hai
Ke aisa waqt ata hai ke..
sari rahaton ko ulfaton ko cheen kar ham ko tahi daman banata hai
Wafa hairaan hoti hai. jafain muskurati hain
Zakham deta hai har lamha. sulagtey pal nahi kat'tey
Dukhon ki sa'aton main phir yeh manzar thehr jata hai
Gham-o-andoh ke sehra main, kisi qatrey ki khwahish main
Bhatakta hain bayabaan main. magar piyasa hi jata hai
Yehi woh waqt hota hai ke insaan haar jata hai
Kabhi aisa bhi hota hai
Lab-e-dariya pe reh kar bhi, tishnagi saath hoti hain
Kabhi aisa bhi hota hai
Ke khaali jaam ho phir bhi yeh jaan seraab hoti hai
Kabhi aisa bhi hota hai
Ke sari umr ka rona yunhi bekar jata hai
Koi aansoo bahata hai, tarapta hai, sulagta hai, Tahi daman hi rehta hai
Kabhi aisa bhi hota hai
Kisi ko bhoolna chahain, mohabbat chorna chahain
Magar kuch kar nahi saktey, bhula hargiz nahi saktey
Khushi aur dukh ka sangam hi, rawani zindagi ki hai
Subah aur shaam ka chalna, nizam-e-zindagi hi hai
Kabhi saya kabhi jalna, dawaam-e-zindagi hi hai
Kabhi aisa bhi hota hai
Kisi lamhe main insaan sochta hai, kyun woh be-bas hai?
Ke sab kuch paas ho kar bhi, tahi daman sa jeewan hai
Unhi lamhon main phir yeh yaad ata hai, ke KOI hai
Ke jis ke ik isharey se hain kaar-e-zeest main harkat
Usi ka ik karam ho jaye gar bandey ki hasti per
To darya-e-ghamon main NAZ bera paar ho jaye



Iqra Naz

کوئی تبصرے نہیں:

ایک تبصرہ شائع کریں