Ishq be-zaabta nahi hota



حادثہ حادثہ نہیں ہوتا
جب تلک واقعہ نہیں ہوتا

بس ذرا وقت پھیل جاتا ہہے
فاصلہ، فاصلہ نہیں ہوتا

عاشقی بے سبب نہیں ہوتی
عشق بے ضابطہ نہیں ہوتا

راستے بھی اُداس پھرتے ہیں
جب کبھی قافلہ نہیں ہوتا

بات بین السطور ہوتی ہے
زیست میں حاشیہ نہیں ہوتا

اُس جگہ بھی خدا ہی ہوتا ہے
جس جگہ پر خدا نہیں ہوتا

زندگی کے نگار خانے میں
رنگ بے مدعا نہیں ہوتا

شمیم احمد*
 
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
 
Haadsa haadsa nahi hota
Jab talak waaqiya nahi hota
 
Bas zara waqt phail jata hai
Faasla, faasla nahi hota
 
Aashiqi be sabab nahi hoti
Ishq be-zaabta nahi hota
 
Raastey bhi udaas phirte hain
Jab kabhi qaafla nahi hota
 
Baat bain-us-sutoor hoti hain
Zeest main haashiya nahi hota
 
Us jaga bhi Khuda hi hota hai
Jis jaga per Khuda nahi hota
 
Zindagi ke nigaar khaney main
Rang be-mudd'ua nahi hota
 
Shameem Ahmed 

کوئی تبصرے نہیں:

ایک تبصرہ شائع کریں