Wada-e-Hoor Per Behlaye hue

 

Wada-e-Hoor Pe Behlaye Hue Log Hain Hum
Khak Bolein Ge K Dafnaaye Hue Log Hain Hum

Yun Har Ek Zulm Pe Dam Sadhe Kharre Hain
Jese Diwar Mein Chunwaye Huye Log Hain Hum

Us Ki Har Baat Pe Labaik Bahla Kyon Na Kahein?
Zar Ki Jhnkaar Pe Bulwaye Huye Log Hain Hum

Jis Ka Ji Chahe Wo Ungli Pe Nacha Leta Hai
Jese Bazar Se Mangwaye Hue Log Hain Hum

Hansi Aye Bhi To Hanste Hue Dar Lagta Hai
Zindagi Yun Tere Zakhmaaye Hue Log Hain Hum

Asman Apna, Zameen Apni, Na Sans Apni, To Phir?
Jane Kis Baat Pe Itraye Hue Log Hain Hum?

Jis Tarha Chahe Bana Le Hamain Ye Waqt ~Qateel~
Dard ki Anch pe Pighlaaye Hue Log Hain Hum.

 

کوئی تبصرے نہیں:

ایک تبصرہ شائع کریں