Aye Naye Saal Bata


Ae Naye Saal Bata Tujh Mein Niya pan Kia Hai?
Har Taraf Khalq Nay Kiun Shor Macha Rakha Hai

Roshni Din Ki Wohi Taron Bhari Raat Wohi
Aaj Hum Ko Nazar Aati Hai Har ik Baat Wohi

Aasman Badla Hai Afsoos, Na Badli Hai Zameen
Aik hindsey Ka Badalna Koi Jiddat To Nahi

Aglay Barson Ki Tarah Hongay Qareenay Teray
Kis ko Maloom Nahi Barah Mahinay Teray

January, February Or March Mein Paray Sardee
Or April, May, June Mein Hogee Garmee

Tera sun Dehar Mein Kuch Khoye Ga Kuch Paye Ga
Apni Miyad Basar Karkay tu Chala Jaye Ga

Tu Naya Hai To Dikha Subah Nayi, Shaam Nayi
Warna In Aankhon Nay Dekhay Hain Naye Saal Kayi

Be-Sabab Daitay Hain Kiun Log Mubarakbadain
Ghaliban Bhool Gaye Waqt Ki Karwi Yaadain

Teri Aamad Say Ghati Umer, Jahan Mein Sub Ki
Faiz Nay Likhi Hai Yeh Nazam Niralay Dhab Ki

By Faiz Ahmed Faiz

کوئی تبصرے نہیں:

ایک تبصرہ شائع کریں