~!~ Tumhain Main Kis Tarah Dekhoon ~!~


 
Tumhay main kis tarah dekhoon
Dareecha hai dhanak ka aur ik badal ki chilman hai
Aur is chilman k peechay, chup k bethay
Kuch sitaray hain, sitaron ki
Nigahon main aik ajeeb si uljhan hai
Wo hum ko dekhtay hain aur phir apas main kehtay hain
“yeh manzar aasman ka tha yahan per kaisay pohncha!”
“Zameen zaadon ki qismat mein jannat kis tarah aaye”

sitaron ki yeh heraani samajh main anay wali hai
ek aisa dilnasheen manzar kissi nay kamm hii dekha hai
Humaray darmyan is waqt jo chahat ka mosam hai
Ussay lafzon main likhain to kitaabain jagmaga uthain
Jo sochain us k baray main to roohain gunguna uthain
Yeh tum ho meray pehlu main
K khuwab-e-zindagi taabeer ki soorat main aya hai?

Yeh khiltay phool sa chehra
Jo apni muskurahat sa jahan main roshni kar day
Lahoo main tazgi bhar day
Badan ik dhair reshum ka
Jo hathon main nahi rukta
Anokhi si koi khushboo k ankhain band ho jayen
Sukhan ki jagmagahat say shagoofay phoot’tay jayen
Chupa kajal bhari ankhon main koi raaz gehra hai
Bohat nazdeek say dekhain to cheezain phail jati hain
So meray chaar soo do jheel si ankhon ka pehra hai
Tumhay main kis tarah dekhoon!!!

کوئی تبصرے نہیں:

ایک تبصرہ شائع کریں