~!~ Mere Hamsafar ~!~


 
Merey hamsafar, tujhe kya khabar!

Yeh jo waqt hai kisi dhoop chaon ke khel sa

Issey dekhtey, issey jheltey

Meri ankh gard se at gai

Mere khwab ret mein kho gaye

...Mere hath barf se ho gaye... Merey bekhabar, terey naam per

Woh jo phool khiltey the hont per

Woh jo deep jaltey the baam per,

Woh nahi rahey!

Woh nahi rahey keh jo ek rabt tha darmiyan woh bikhar

gaya Woh hawa chali!

Kisi shaam aisi hawa chali

Keh jo barg the sar-e-shaakh-e-jaan, woh gira diye

Woh jo harf darj the ret per, woh ura diye

Woh jo raston ka yaqin the

Woh jo manzilon ke ameen the Woh nishan-e-pa bhi mita diye!

Merey hamsafar, hai wohi safar

Magar ek mor ke faraq se

Terey hath se merey hath tak

Woh jo hath bhar ka tha fasla..

Kai mausamon mein badal gaya Ussey naptey, ussey kaat'tey

Mere sara waqt nikal gaya!

Tu merey safar ka shareek hai

Main terey safar ka shareek hoon

Pe jo darmiyan se nikal gaya

Ussi fasley ke shumaar mein Ussi be-yaqin se ghubaar mein

Ussi rahguzar ke hisaar mein

Tera rasta koi aur hai..

Mera rasta koi aur hai!!

کوئی تبصرے نہیں:

ایک تبصرہ شائع کریں