~!~ Qusoor Kiya ~!~


Yeh jo be rukhi hain baja nahi
Yeh adayen kyun yeh ghuroor kiya
Yeh guraiz kis liye is qadar
Yeh khafa khafa se huzoor kiya

Tujhey yaad karna mazaaq tha
Tujhey bhool jana azaab hai
Yeh saza hai jurm-e-firaaq ki
Mere haafzey ka qusoor kiya

Tere saath hai jo teri ana
Mere saath mera naseeb hai
Mujhey tujh se kaisi shikayatain
Tujhey khud pe itna ghuroor kiya

Koi khwab tha ke saraab tha
Jo guzar gaya so guzar gaya
Yeh baseeraton ka qusoor kyun
Yeh basaaraton ka fatoor kiya

Yeh tumhara chehra kitaab hai
Isey parh raha hoon waraq waraq
Zara baat saada likha karo
Yeh mahawraon ki satoor kiya

Dil-e-khud pasand sada na de
Ke yeh ik sadaoun ka dasht hai
Kahin kho gaye hain jo bheer main
Hamain dhoondna hai zaroor kiya

Sabhi phool tere naseeb main
Sabhi khaar mere hisaab main
Yeh jaza saza ka tlism hai
Mera tera is main qusoor kiya

کوئی تبصرے نہیں:

ایک تبصرہ شائع کریں