~!~ Tum Kon Piya ~!~


Composed By ME

Poochey hai jiya
Tum kon piya?
Saanson main ghuley
Yun ham se miley
Aankhon ke diye
Tum se hain jaley
Yeh peet sada
Roshan hi rahey
Main ne yeh janam
Tere naam kiya

Poochey hai jiya
Tum kon piya?
Tumhain apna kar
Dil se chah kar
Sab bhool gaya
Tum ko paa kar
Duniya ka dukh
Na apni fikar
Per tum ne hamain
Kab yaad kiya
Poochey hai jiya
Tum kon piya?

Poochey hai jiya
Tum kon piya?
Tum sooraj ho
Tum chaand bhi ho
Tum chahat bhi
Armaan bhi ho
Tumhi dil ke makeen
Tumhi sar ki rida
Ham tum se rahain
Kis tor khafa??
Poochey hai jiya
Tum Kon Piya

Poochey hai jiya
Tum kon piya?
Tum zindagi they
Ya ajnabi they
Per mere liya
Ik roshni they
Tum rooth gaye
To aisa lagey
Har simt ghata
Har simt khizan

Poochey hai jiya
Tum kon piya?
Yun door kharey
Kiya socha hai?
Har saans main hain
Sadion ke giley
Seene main chupa kar
Ham to chaley
Kis our chaley?
Kiya tum ko pata!!

1 تبصرہ: