~!~ Mere Chara-gar ~!~


~!~ Mere Chara-gar ~!~

mere chara-gar mere chara-gar
mere dard ki tujhe kya khabar
tu mere safar ka shareek hai
nahi humsafar!
tere haat ka mere haat tak
woh jo haat bhar ka tha faasla
kayi mausamo mein badal gaya
ussay naapte ussay kaat’te
mera saara waqt nikal gaya
nahi jis pe koi bhi naqsh-e-pa
mere saamne hai woh rah-guzar
mere charagar mere charagar
mere dard ki tujhe kya khabar
tu mere safar ka shareek hai
nahi humsafar!
yeh jo raig-e-dasht-e-firaq hai
mere raasto mein bichi hui
kisi maurr per rukke kahin
yeh jo raat hai mere chaarsu
magar iski koi sehar nahi
na chaon hai na samar koi
maine chaan dekha shajar shajar
mere charagar mere charagar
mere dard ki tujhe kya khabar
tu mere safar ka shareek hai
nahi humsafar!!!



کوئی تبصرے نہیں:

ایک تبصرہ شائع کریں