~!~ Hisab-e-Umr ~!~




hisab-e-umr ka itna sa goshwara hai
Tumhain nikaal ke dekhain to sab khasara hai

Kisi charaagh main ham hain, kisi kanwal main tum
Kahin jamal hamara, kahin tumhara hai

Woh kiya wisaal ka lamha tha jis ke nashey main
Tamam umr ki furqat hamain gawara hai

Woh munkashif meri aankhon ho ke jalwey main
Har aik husn kisi husn ka ishara hai

Kahin pe hai koi khushboo ke jis ke hone ka
Tamam alam-e-mojood iste'aara hai

Najayen kab tha, kahan tha, magar yeh lagta hai
Yeh waqt pehle bhi ham ne kabhi guzara hai

Yeh do kinarey to dariya ke ho gaye ham tum
Magar woh kon hai jo teesra kinara hai

کوئی تبصرے نہیں:

ایک تبصرہ شائع کریں