گھاوۤ گنتے نہ کبھی، زخم شماری کرتے
عشق میں ہم بھی اگر وقت گزاری کرتے
تجھ میں تو خیر محبت کے کئی پہلو تھے
دشمنِ جاں بھی اگر ہوتا تو یاری کرتے
ہو گئے دھول تیری راہ میں بیٹھے بیٹھے
بن گئے عکس تیری آئینہ داری کرتے
وقت آیا ہے جدائی کا تو اب سوچتے ہیں
تجھ کو اعصاب پہ اتنا بھی نہ طاری کرتے
آخری داوۤ لگانا نہیں آیا ہم کو
ذندگی بیت گئی خود کو جواری کرتے
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ghaao Gintey Na Kabhii Zakhm Shumaari Kartey
Ishq Main Hum Bhii Agar Waqt Guzaari Kartey
Tujh Main To Khair Muhabbat Ke They Pehlu Bhi Buhat
Dushman-e-Jaan Bhi Agar Hota To Yaari Kartey
Ho Gaye Dhool Teri Raah Main Bethey Bethey
Ban Gaye Aks Teri Aaina Daari Kartey
Waqt Aaya Hai Judai Ka To Ab Sochty Hain
Tujhko A'asab Pe Itna Bhi Na Taari Kartey
Aakhri Daa'o Lagana Nahi Aaya Hum Ko
Zindagi Beet Gai Khud Ko Juwaari Karty…

کوئی تبصرے نہیں:
ایک تبصرہ شائع کریں