~!~ Harf Tere Liye ~!~



***HAFR TERE LIYEY***
Main ne aisey tujhey mahsoos kiya hai aksar
Jaisey Sooraj ki kiran seep ke dil me Utrey
Jhaisey jharna kahin madhham se suron mein gayey..
Jaisey khushboo ko hawa Rang se hat kar chahey
Jasiey Rangon ko ulfat si sabhi phoolon se
jasiey kiron pe padey dhoop to chamkein tarey..
jasiey sargoshi kare mujh se saba kano mein..
main ne is taur bhi mahsoos kiya haitujh ko
kisi pakeeza se lahjey me azan ho jaisey..
koi masoom kare dars kisi maktab me..
koi sheesta se andaaz E wafaa ho jaisein..
Meri tanhayi mujhey pass tere layi hai..
meri sochon mein kabhi dekh sarapa apna..
Tu hai Duniya Se alag DIL NE SHAHADAT DI HAI..



Dedicated to Almighty Allah


Shagufta Subhani

***HAFR TERE LIYEY*** Main ne aisey tujhey mahsoos kiya hai aksar Jaisey Sooraj ki kiran seep ke dil me Utrey Jhaisey jharna kahin madh...

~!~ Moallim ~!~

AL-MOALLIM


Moallim Phool hota hai
wo apney ILM ki **khushboo**
se Duniya ko sajata hai!!
Zamane bhar ki tareeki
Jahan k Khushk lahjon ko
samo kar bhi.. faqat... wo bant-ta hai
Roashni har soo
wo apney Narm lahjey me
wo apne sheerein lahjey me
samo kar ILM ka Darya
hai karta band koozey me.
wo apney AZM-O-QUWWAT se
Badal Deta hai charon ko
Jahan E ILM ka adraak wa hota hai phir Uss pe
wo apni an-ginat koshih se
saaz E ILM ki Duniya
ko Naghma hai ata karta
ussi ek ilm k naghme ko milti ja-wedani hai
Moallim janta hai pathharon ko Moam sa karna...
Agar HUM sab MOALLIM hain
To hum ko sochna ye hai
k Hum ne kitney pathhar ko
Banaya hai abhi HEERA??????????
kahin ye to nahi k Hum
kisi ghaflat me khoyey hain?

"Ager ab tak nahi socha"

To HUM ko
SOCHNA HOGA!!


Shagufta Subhani

AL-MOALLIM Moallim Phool hota hai wo apney ILM ki **khushboo** se Duniya ko sajata hai!! Zamane bhar ki tareeki Jahan k Khushk lahjon...

~!~ Agar Mil Na Sakey ~!~

"Mil Na sakey ..."

Ager mil na sakey humdam
to ye taye hai
judayi k sabhi rastey
chalon masdood kartey hain
pakad kar ek Titli ko
sabhi purkhar raston par
Dhanak k rang buntey hain
jahan par sahem jao tum...
wahan jugnoo koi la kar...
ujala itna kartey hain
k tum ko meri ankhon me yaqeen ki shamma mil jayein
wahan par hum nayi tahzeeb ka
ek baab likhtey hain
ager hum mil nahi saktey..
to ye taye hai judayi ko!
kabhi aaney nahi dengey...
tumhein hum apni
iss diniya se ab janey nahi dengey
ager mil na sakey humdam
 
Shagufta Subhani

"Mil Na sakey ..." Ager mil na sakey humdam to ye taye hai judayi k sabhi rastey chalon masdood kartey hain pakad kar ek Tit...

Tere Mere Darmiyan


تیرے میرے درمیاں ہے، یہ جو فاصلہ سا، کیوں ہے
دل و جان کا اذیت سے یوں رابطہ سا کیوں ہے

کیوں ہے دل اداس میرا۔ کیوں ہے وحشتوں کا پہرا
تیرے غم کا بنتا مٹتا یہاں دائرہ سا کیوں ہے

کیوں ہے جان جاںکنی میں، کیوں ہے روح بے بسی میں؟
کہ جنوں کی منزلوں سے میرا واسطہ سا کیوں ہے

کیوں ہے اضطراب مجھ میں کیوں ہے وحشتوں کا عالم
میری دسترس میں ہو کے بھی وہ بھاگتا سا کیوں ہے

وہ جو پاس ہوکے بھی ہے، وہ جو دور مجھ سے اتنا
ہے شگفتہؔ دل وہ میرا، وہی اک جدا سا کیوں ہے

شگفتہ سبحانی         
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Tere mere Darmiٓyaan hai..ye jo fasla sa kyun hai?
Dil o Jaan ka Azeeyat se Yun raabta sa kyun hai?

  kyun hai Dil Udaas Mera kyun hai Wahshaton ka pahra?
tere Gham ka banta mit'ta yahan dayera sa kyun hai?

Kyun hai Jan jan-kuni me kyun hai Rooh be-basi me?
Ke Junoon ki manzilon se mera Waa.sta sa kyun hai?

Kyun hai Izteraab mujh me kyun hai wahshaton ka aalam..
Meri Dastaras me ho k bhi wo Bhagta sa kyun hai?

Wo jo pass ho ke bhi hai ,wo jo door mujh se itna
hai SHAGUFTA dil wo mera ..wohi ek Judaa sa kyunhai??

Shagufta Subhani 

 

تیرے میرے درمیاں ہے ، یہ جو فاصلہ سا، کیوں ہے دل و جا ن کا اذیت سے یوں رابطہ سا کیوں ہے ک یوں ہے دل اداس میرا۔ کیوں ہے وحشتوں کا پہر...

~!` Dost ~!~



Dost



Zindagi ki Rahon me..
iss tarha bhi hota hai..
Ajnabi se mil kar bhi
ajnabi nahi rahtey..

jiss jagah zamane me..
haath chhhoot jatey hain..
Log rooth jatey hai..
Toot jatey hain rishtey
han ussi zamane me..
iss taraha bhi hota hai..
Ajnabi se mil kar bhi
Ajnabi nahi rahtey...

jab Udaas hoti hoon..
jab kabhi bhi Tanhayi
mujh ko gher leti hai..
khwahishon k roopahley
Taar jhunjhunatey hain..
Roashni nahi milti..
Raasta nahi milta
zindagi ki sachhayi..
mujh pe jab bhi khulti hai..

Han ussi zamane me...
Ban k ek saaya sa..
Ban k ek jhonka sa...
Khushboowon ki soorat me
aa k mujh se milta hai 
mere saath hota hai..
mere pass hota hai..
meri sooni ankhon me
har dafa ye dekha hai..
"DOSTI "se tu apni
apni aankh k sarey 
Rang mujh me bharta hai......
Shagufta Subhani

Dost Zindagi ki Rahon me.. iss tarha bhi hota hai.. Ajnabi se mil kar bhi ajnabi nahi rahtey.. jiss jagah zamane me.. haath chhh...

~!~ Khwab Jazeerey ~!~



"Khwaab Jazeerey"

Yunhi Sochna Tujhey Khwaab Sa
Aour dekhna Tujhey Khwaab me...
Aour Khud ko karna G U L A A B phir,
jab dekhna Tujheyy Roo*Ba*rooooo

Tere Aks**E**Gul ko sametna
Tere Naqsh**E** Paa ko hi dekhna
kabhi Dena tujh ko sada koi
kabhi Be khudi me tere bina
Tujhey dekha mere Roo**Ba**roo


Kabhi ban k naghma e Jan koi..
Tere Lab pe misl-e-ghazal Rahoon
kabhi Chooona Tujh ko hawaon sa..
kabhi khushboon ka shaher banoon...
kabhi Dekhna Tujhey ghaur se...
aour sochna kabhi har paher...
Aour khud ko karna Gulaab phir..
aour dekhna tujhey Roo ba Roo..


Tere Hath me mera Haath ho..
mere har safer me tu saath ho..
meri shaam tujh pe Tamam ho..
Mere Har subah tere Naam ho..
Tere saath bhi
Mere Baad bhi...
ye safer rahey Mera Aakhri..
Aour khud ko karna Gulaab phir
Tujhey Dekhna Mere ROO BA ROO....



Shagufta Subhani

"Khwaab Jazeerey" Yunhi Sochna Tujhey Khwaab Sa Aour dekhna Tujhey Khwaab me... Aour Khud ko karna G U L A A B phir, jab de...

~!~ Tarana ~!~

Tarana

Shairy Ek Phool hai
Ek Saaz hai
Aawaaz hai
Shairy ek Dard hai
Ehsaas hai ...
Aaghaaz hai...!!
Hai kabhi Taron si Roshan
aour kabhi Mahtaab hai
Hai Darkhshan ye kabhi
aour khud kabhi Aakaash hai
shairy Ek Naghma E Jaan,
Aour kabhi lahja koi...
khamushi ka Ek lamha
ye kabhi khud "Aaghi"
Hai Payam E Amn ye
aour ye hai ulfat ka Jahan
hai subak Bad E saba si
khunk Maujon ki tarha
lahlalatey bagh si ...
kaliyon ki Taraha shokh ye
Shairy ek Husn hai
ek Naaz hai
Andaaz hai
Shairy *khushboo* kabhi
Chanda kabi Payal kahin...
Shairy Banta wo mit-ta Dayera ,Gardaab hai
shairy kajal kahin ,,,,,
kakul kahin Badal.... kahin
shairy Mathey ka jhoomar ...aour kabhi Anchal kahin
shiary Uljhi hui zulfon k pech o kham kahin
shairy Ek Dor hai
resham koi Rishta kabhi
shairy Ek Khwaab hai
jo na mit paya kabhi
Iss Dil ka Wo Ek Dagh hai
Hai safer ye Dhoop se le kar kisi saaaye Talak

Raston se manzilon ki Buss yahi Pahchaan hai

Shagufta Subhani

Tarana Shairy Ek Phool hai Ek Saaz hai Aawaaz hai Shairy ek Dard hai Ehsaas hai ... Aaghaaz hai...!! Hai kabhi Taron si Roshan aour ...

~!` Do Raye ~!~



محبٌت میں کبھی دورائے کا امکاں نہیں ھوتا
یہ ھوتی ھے تو ھوتی ھے
نہیں ھوتی تو جتنا بھی جتن کر لو،نہیں ھوتی
کوئی اچھا اگر لگ جائے تو سب خامیاں اُسکی
اچانک، خوبیوں کی اوڑھنی میں چُھپ سی جاتی ھیں
زمانہ لاکھ سمجھائے سنبھل جاؤ
وہ ایسا ھے وہ ویسا ھے
سمجھ میں کچھ نہیں آتا
سماعت اور بصارت کو سُجھائی کچھ نہیں دیتا
سمجھ آتا ھے اُس لمحے
کہ جب دامن میں لاکھوں چھید ھو جائیں
کبوتر کے پروں کے ساتھ لپٹے
سب عیاں جب بھید ھو جائیں
محبٌت میں کبھی دورائے کا امکاں نہیں ھوتا
یہ ھوتی ھے تو ھوتی ھے
نہیں ھوتی تو جتنا بھی جتن کر لو،نہیں ھوتی

فاخرہ بتول

محبٌت میں کبھی دورائے کا امکاں نہیں ھوتا یہ ھوتی ھے تو ھوتی ھے نہیں ھوتی تو جتنا بھی جتن کر لو،نہیں ھوتی کوئی اچھا اگر لگ جائے تو سب خا...

~!~ Mohabbat moujza kardey ~!~


Mohabbat Mojiza Kar De
Mere Sehn-e-Hunar Mein
Roshni Karte Khaylon Kii Tilawat Se
Mere Sher-o-Sukhan Mein
Hurf-o-Maanii Kii Hikayat Se
Ussay bhi Aashna Kar De
Mohabbat Mojiza Kar De....

Faseel-E-Dil Pe Likhi Dard Ki Pinhan Ibarat Se
Mohabbat Ko Badan Ki Akhri Sanson Ki Had Tak
Nibha Deni Ki Aadat Se
Ussey Bhi Aashna Karde;
Mohabbat Moajzza Karde....

Sar-e-Mizgaan Chmakte Aanson Ki Jagmagahat Se
Pus-e-Girya Meri Jalti Aankhon Ki Hiddat Se
Sawal-e-Wasal Se Mehroom Honton Per
Dua-e-Shab Ki Hurmat Se
Ussay Bhii Aashna Kar De
Mohabbat Mojiza Kar De....

Aazab-e-Tushnagi Sehti Hui Saanson Kii Wehshat Se
Mere Jazbon Ki Shiddat Se
Mere Hurf-e-Mohabbat Se
Meri Tanha Musafat Se
Ussay Bhee Aashna Kar De
Mohabbat Mojiza Ker De

Mohabbat Mojiza Kar De Mere Sehn-e-Hunar Mein Roshni Karte Khaylon Kii Tilawat Se Mere Sher-o-Sukhan Mein Hurf-o-Maanii Kii Hikayat Se ...

~!` Kuch Asha'ar ~!~


Aik Misraa hai Zindagi Meri
Tum jo chaho to "Sha'air" hojaye

------------------------------------------------
 
Aasayish-E-Hayaat Too Mil Jaye Gi Kabhi...
Lekin Sakoon-E-Qalb Muqaddar Ki Baat Hai...!!!

---------------------------------------------------------
 
Ho Ta'aluq....Tou Rooh Se Ho..
DiLl Tou AkaaR...Bhar Bhi Jatay Hain !!

------------------------------------------------------
 
•- Kuch yoOn Hua k Jab bhi ZaroOrat pari Mujhe -•-
-•- Har Shakhs ittefaaq sq MajboOr hO gaya -•-

------------------------------------------------------------
 
Aql agar azma--ekirdaar ki qayel hoti
Ishq ko rutba-e-ilhaam diya ja sakta

-------------------------------------------------
 
Mohabbat aik khushboo hai, hamesha saath rehti hai
Koi insaan tanhai main bhi tanha nahi rehta

-------------------------------------------------------
 
Tujh Ko Aankhon K Dareechon Se Juda Kaise Karon
Tu Meri Zaat K Har Pehlu Se Bayaan Hotaa Hai..

----------------------------------------------------------
 
"Kaash Ke Mil Jaye Mujhe Muqaddar Ke Wo Siyahi Aur Qalam,
Lamhay Lamhay Ki Khushi Likh Doon Teri Zindagi Ke Liye….!!

--------------------------------------------------------------
 
Kuch Iss Liya Bhee Mera Lafz Lafz Roshan hai
Teray Khiyaal ne Dil ko Ujaal rakha Hai

-----------------------------------------------------------
 
Us ko chaha to mohabbat ki samajh ayi hai
Warna is lafz ki tareef suna kartey they

--------------------------------------------------------
 
Mayar Mango To Soch Lena ...!
Mayar Dena Bhe Hai Zaruri

----------------------------------------
 
Yeh dil kitna farebi hai mohabbat ki masafat mai
Haqeeqat chor deta hai fasanay sath rakhta hai..

-------------------------------------------------
 
Mohabbat ki agar samjho bari sada kahani hai
Bas ek masoom se dil par hi dil ki hukmarani hai...

-----------------------------------------------------








Aik Misraa hai Zindagi Meri Tum jo chaho to "Sha'air" hojaye ------------------------------------------------   Aasayish-E...

~!~ Aye Roop Nagar Ki Shehzadi ~!~


Aye Roop Nagar Ki Shehzaadi,
Thodi Si Inayat Ho Jaye,
Ek Roz Agar Tum Chupke Se,
Meri Aankhon Ko Sairaab Karo,
Bechain Mera Dil Rehta Hai,
Kuch Aur Isey Betaab Karo,
Is Talkh Haqeeqat Sehra Ko,
Ek Meetha Sundar Khwab Karo,
Ek Roz Meherbaan Ho Jao,
Mere Dil ke Nigehbaan Ho Jao,
Is Tapti Dhoop Ki Sakhti Mein,
Ek Shaam Ki Chaoun Mil Jaye,
Murjha Se Gaye Hai Din Mere,
Ek Shaam To Meri Khil Jaye,
Aur Shayad Mere Honthon Se,
Har Zakhm Tera Bhi Sil Jaye,
Hum Qais Nahi Farhad Nahi,
Par Phir Bhi Kahin Aabad Nahi,
Shayad Ye Karishma Ho Jaye,
Tumhe Humse Mohabbat Ho Jaye,
Aye Roop Nagar Ki Shehzadi,
Thodi Si Inayat Ho Jaye...!!!!

Aye Roop Nagar Ki Shehzaadi, Thodi Si Inayat Ho Jaye, Ek Roz Agar Tum Chupke Se, Meri Aankhon Ko Sairaab Karo, Bechain Mera Dil Rehta H...

~!~ Karishma Sazian ~!~


Muhabat..
bay ghata ,banjar fazaon ko..
brasnay ka hunar day ker..
zameen sairab krti hai..
Gulabi rut Muhabat ki..
dilon k sookhay shajar aabad krti hai..
Muhabat mai bari taqat ..
krishma saz'ian itni......!

Muhabat.. bay ghata ,banjar fazaon ko.. brasnay ka hunar day ker.. zameen sairab krti hai.. Gulabi rut Muhabat ki.. dilon k sookh...

Laikin tere baghair ........


Tum yaad ho to naqsh ho mere hawaas par...
Tum ashk ho to mere dukhon ka ilaaj ho...
Tum khuwaab ho to meri in aankhon main ho kahan?
Tum wehm ho to mujh ko haqeeqat say kia gharz...
Tum ba'is-e-safar ho hunar ki urraan ho...
Tum husn ho to mere takahyyul ki jaan ho...
Tum raat ho to mujh ko kahan subha ki talab...
Tum noor ban ke dil main samaye ho aaj-kal...
Tum khaak ho to khaak nasheenon ki ho talaash...
Tum dard ho to rooh pe chhaaye ho aajkal...
Tum dasht ho to main bhi musafir hoon dasht ka...
Tum chand ho to talkh andhairon ki kia fikr...
Tum bay niyaaz ho to zamaney say ho alag...
Tum rang ho to phir yeh baharon ka zikr kiya...
Tum bay-samar rutton main baharon ki ho umeed...
Tum reh guzaar-e-shoq main jazba junoon ka...
Tum aarzoo ho Ehl-e-tamanna ki ho khalish...
Tum rat-jagon ki bheerr main lamha sukoon ka...
Tum bewafa rutton main hawala ho ishq ka...
Tum ba-basi ho phir bhi muheet-e-hayaat ho...
Tum ik kiran ho noor-e-azal say dhuli hui...
Tum taazgi ho shabnami phoolon ki aas ho...
Tum gehray paaniyon main chupey motiyon ka lams...
Tum moat ke safar main nishaan-e-hayaat ho...
Tum meri chashm-e-nam main sitaron ki kehkashaan...
Tum husn-e-be'misaal meri kaayenaat ho...
Tum jab say ho gaye ho meri dastaras say door...
Main ji raha hoon kiun keh zaroori hay zindagi...
Sanson ke bojh ko bhi uthana hai rooh ne...
Laikin tere baghair Adhoori hay zindagi...
Laikin tere baghair Adhoori hai zindagi...!!

Tum yaad ho to naqsh ho mere hawaas par... Tum ashk ho to mere dukhon ka ilaaj ho... Tum khuwaab ho to meri in aankhon main ho kahan? Tu...


تم مِرے درد بھی، غم بھی ، مِرے آلام بھی تم
تم مِرا چین ہو جاناں، مِرا آرام بھی تم

کامیابی کو نہیں ہم نے تمہیں چاہا ہے
ہم تمہارے ہیں بھلے ہو گئے ناکام بھی تم

میں مسیحا ہوں اگر، میرا وظیفہ تم ہو
میں ہو مجرم تو مِری جاں مِرا الزام بھی تم

مختلف حیلوں بہانوں سے مجھے سوچتے ہو
ایک دن کُھل کے پکارو گے مِرا نام بھی تم

رات دن تم کو فقط تم کو مجھے سوچنا ہے
میری فرصت بھی تمہی اور مِرا کام بھی تم

جس سے روشن مرا آنگن ہے تمہی ہو وہ چراغ
سچ تو یہ ہے کہ تمہی گھر ہو دَر و بام بھی تم

یہ سیاست بھی عجب کھیل ہے بھولے پنچھی
یہاں صیّاد بھی تم ہو، تو تہِ دام بھی تم

تم مِرے درد بھی، غم بھی ، مِرے آلام بھی تم تم مِرا چین ہو جاناں، مِرا آرام بھی تم کامیابی کو نہیں ہم نے تمہیں چاہا ہے ہم تمہارے ہیں بھل...