Tarana
Shairy Ek Phool hai
Ek Saaz hai
Aawaaz hai
Shairy ek Dard hai
Ehsaas hai ...
Aaghaaz hai...!!
Hai kabhi Taron si Roshan
aour kabhi Mahtaab hai
Hai Darkhshan ye kabhi
aour khud kabhi Aakaash hai
shairy Ek Naghma E Jaan,
Aour kabhi lahja koi...
khamushi ka Ek lamha
ye kabhi khud "Aaghi"
Hai Payam E Amn ye
aour ye hai ulfat ka Jahan
hai subak Bad E saba si
khunk Maujon ki tarha
lahlalatey bagh si ...
kaliyon ki Taraha shokh ye
Shairy ek Husn hai
ek Naaz hai
Andaaz hai
Shairy *khushboo* kabhi
Chanda kabi Payal kahin...
Shairy Banta wo mit-ta Dayera ,Gardaab hai
shairy kajal kahin ,,,,,
kakul kahin Badal.... kahin
shairy Mathey ka jhoomar ...aour kabhi Anchal kahin
shiary Uljhi hui zulfon k pech o kham kahin
shairy Ek Dor hai
resham koi Rishta kabhi
shairy Ek Khwaab hai
jo na mit paya kabhi
Iss Dil ka Wo Ek Dagh hai
Hai safer ye Dhoop se le kar kisi saaaye Talak
Raston se manzilon ki Buss yahi Pahchaan hai
Shagufta Subhani
کوئی تبصرے نہیں:
ایک تبصرہ شائع کریں