~!~ Moallim ~!~

AL-MOALLIM


Moallim Phool hota hai
wo apney ILM ki **khushboo**
se Duniya ko sajata hai!!
Zamane bhar ki tareeki
Jahan k Khushk lahjon ko
samo kar bhi.. faqat... wo bant-ta hai
Roashni har soo
wo apney Narm lahjey me
wo apne sheerein lahjey me
samo kar ILM ka Darya
hai karta band koozey me.
wo apney AZM-O-QUWWAT se
Badal Deta hai charon ko
Jahan E ILM ka adraak wa hota hai phir Uss pe
wo apni an-ginat koshih se
saaz E ILM ki Duniya
ko Naghma hai ata karta
ussi ek ilm k naghme ko milti ja-wedani hai
Moallim janta hai pathharon ko Moam sa karna...
Agar HUM sab MOALLIM hain
To hum ko sochna ye hai
k Hum ne kitney pathhar ko
Banaya hai abhi HEERA??????????
kahin ye to nahi k Hum
kisi ghaflat me khoyey hain?

"Ager ab tak nahi socha"

To HUM ko
SOCHNA HOGA!!


Shagufta Subhani

کوئی تبصرے نہیں:

ایک تبصرہ شائع کریں