Laikin tere baghair ........


Tum yaad ho to naqsh ho mere hawaas par...
Tum ashk ho to mere dukhon ka ilaaj ho...
Tum khuwaab ho to meri in aankhon main ho kahan?
Tum wehm ho to mujh ko haqeeqat say kia gharz...
Tum ba'is-e-safar ho hunar ki urraan ho...
Tum husn ho to mere takahyyul ki jaan ho...
Tum raat ho to mujh ko kahan subha ki talab...
Tum noor ban ke dil main samaye ho aaj-kal...
Tum khaak ho to khaak nasheenon ki ho talaash...
Tum dard ho to rooh pe chhaaye ho aajkal...
Tum dasht ho to main bhi musafir hoon dasht ka...
Tum chand ho to talkh andhairon ki kia fikr...
Tum bay niyaaz ho to zamaney say ho alag...
Tum rang ho to phir yeh baharon ka zikr kiya...
Tum bay-samar rutton main baharon ki ho umeed...
Tum reh guzaar-e-shoq main jazba junoon ka...
Tum aarzoo ho Ehl-e-tamanna ki ho khalish...
Tum rat-jagon ki bheerr main lamha sukoon ka...
Tum bewafa rutton main hawala ho ishq ka...
Tum ba-basi ho phir bhi muheet-e-hayaat ho...
Tum ik kiran ho noor-e-azal say dhuli hui...
Tum taazgi ho shabnami phoolon ki aas ho...
Tum gehray paaniyon main chupey motiyon ka lams...
Tum moat ke safar main nishaan-e-hayaat ho...
Tum meri chashm-e-nam main sitaron ki kehkashaan...
Tum husn-e-be'misaal meri kaayenaat ho...
Tum jab say ho gaye ho meri dastaras say door...
Main ji raha hoon kiun keh zaroori hay zindagi...
Sanson ke bojh ko bhi uthana hai rooh ne...
Laikin tere baghair Adhoori hay zindagi...
Laikin tere baghair Adhoori hai zindagi...!!

کوئی تبصرے نہیں:

ایک تبصرہ شائع کریں