~!~ Tum Waaqi Achey Insaan Ho ~!~



Kyun uljhey uljhey phirtey ho?
Kyun tanha tanha phirtey ho?
Woh chamak nahi hai ankhon mian
Woh mehek nahi hain baton main
Honton ki hansi
Aur mizaj ki shokhi kahan chor aye?
Woh behr-e-mohabbat ki moujain
Kis rastey main tum mor aye?
Koi baat nahi ab pehley si
Kyun apne ap se lartey ho?
Youn gum sum rehna chor bhi do
Tum khush khush rehna seekh bhi lo
Thori koshish aur karo
Tum pehley jaise achey ho
Ik baat gosh guzar karoon?
Gar baat ko meri sach mano
Tumhara hansna achha lagta hai
Youn chup chup rehna chor bhi do
Tum waaqi achey insaan ho
Har Haal main achey lagtey ho

Kyun uljhey uljhey phirtey ho? Kyun tanha tanha phirtey ho? Woh chamak nahi hai ankhon mian Woh mehek nahi hain baton main Honton ki h...

~*~ Patthar tha Magar..... ~*~



Patthar tha Magar Baraf k Gaalon ki tarha tha
Ek Shakhs Andheron mai Ujaalon ki tarha tha

Khawbon ki tarha tha na Khayalon ki tarha tha
Woh Ilm-e-Riyaazi k Sawalon ki tarha tha

Uljha hua aisa k kabhi Hal ho nahi paya
Suljha hua aisa k Misaalon ki tarha tha

Wo Mil to gaya tha Magar apna hi Muqaddar
Shatranj ki Uljhi hoi Chaalon ki tarha tha

Wo Rooh mai Khushbo ki tarha ho gaya Tehleel
Jo Door bohat Chand k Haalon ki tarha tha

Patthar tha Magar Baraf k Gaalon ki tarha tha Ek Shakhs Andheron mai Ujaalon ki tarha tha Khawbon ki tarha tha na Khayalon ki tarha tha...

~*~ Bahisht-e-gulab ~*~



Yeh wohi bahisht-e-gulab hai
Wohi kunj-e- wadi-e-khwab hai
Kal isi bahisht-e-gulab main, 
isi kunj-e- wadi-e-khwab mian
Mere dil ka dard ghazal hua
Mere harf harf main hall hua
Mera mas'ala, tera mas'ala..
Meri aarzoo, teri aarzoo
Woh nazar nazar ke mahawrey, 
woh nayi zaban main guftagoo
Is kunj-e-wadi-e-khwab mian
Meri rooh se teri rooh tak
Woh wafa ki ik nayi rehguzar
Woh yaqeen ka ik naya safar
Isi No bahisht-e-gulab main
Inhi surkh phoolon ke darmiyan
Isi farsh-e-sabza pe beth kar
Inhi ansoun ke najoom main
Inhi tayiron ke hujoom main
Sar-e-shaam ehd-e-wafa hua
Teri husn aur siwa hua
Mujhey kiya khabar thi ke khwab se mera koi risht-e-jaan nahi
Mujhey kiya khabar thi gulab se mere dil dil ka rang ayan nahi
Meri har bala terey sar gayi
Teri zulf-e-naz bikhar gayi
Tera haath haath se chut gaya
Main barey khuloos se lut gaya
Mere dil se mehv hui nahi
woh azeem yaad-e-wafa abhi
Mera khwab, mera gulab hai, 
woh qarardad-e-wafa abhi

~~~ Shabnam Roomani ~~~

Yeh wohi bahisht-e-gulab hai Wohi kunj-e- wadi-e-khwab hai Kal isi bahisht-e-gulab main,  isi kunj-e- wadi-e-khwab mian Mere dil ka dar...

~!~ Aagahi ~!~


Aagahi ka kya kehna!
Aagahi to matlab hai
Khud sey kaj aadai ki
Be-panah azeeyat ka
Talkh si suchai ka
Iss aik baat sey pehley mein
Khush numa jazeeron mein
Titli ban k urti thii
Khush fehmi meri saheli thi
Jiss ka haath thamey mein
Khushbon ki duniya mein
Door ja nikalti thii
Jab mein laut aati thii
Meri muskurati palkon pey
Khawab aa k bastey thaay
Phir aik pal khula mujh par
Meri kya haqeeqat hai
Meri kitni wauqat hai
Aagahi ka kya kehna
Aagahi haqeeqat hai

  Aagahi ka kya kehna! Aagahi to matlab hai Khud sey kaj aadai ki Be-panah azeeyat ka Talkh si suchai ka Iss aik baat sey pehley mein ...

~!~ Main to Kuch bhi Nahi ~!~



میں تو کچھ بھی نہیں۔۔۔

آپ کیا جانے مجھ کو سمجھتے ہیں
میں تو کچھ بھی نہیں
اس قدر پیار، اتنی بھیڑ، میں رکھوں گا کہاں
اس قدر پیار رکھنے کے قابل نہیں میرا دل، میری جاں
!مجھ کو اتنی محبت نہ دو دوستو!
پیار اک شخص کا بھی اگر مل سکے
تو بڑی چیز ہے ذندگی کے لئے
آدمی کو مگر یہ بھی ملتا نہیں، یہ بھی ملتا نہیں
مجھ کو اتنی محبت ملی آپ سے
یہ میرا حق نہیں، میری تقدیر ہے
میں زمانے کی نظروں میں کچھ بھی نہ تھا
میری آنکھوں میں اب تک وہ تصویر ہے
اس محبت کے بدلے میں کیا نذر کروں
میں تو کچھ بھی نہیں
عزتیں، شہرتیں، چاہتیں، اُلفتیں
کوئی بھی چیز دنیا میں رہتی نہیں
آج میں ہوں جہاں کل کوئی اور تھا
یہ بھی اک دور ہے، وہ بھی اک دور تھا
!آج اتنی محبت نہ دو دوستو
کہ میرے کل کے لئے
کل جو گُمنام ہے، کل جو سنسان ہے
کل کو انجان ہے، کل جو ویران ہے
میں تو کچھ بھی نہیں، میں تو کچھ بھی نہی


ساحر لدھیانوی

میں تو کچھ بھی نہیں۔۔۔ آپ کیا جانے مجھ کو سمجھتے ہیں میں تو کچھ بھی نہیں اس قدر پیار، اتنی بھیڑ، میں رکھوں گا کہاں اس قدر پیار رکھن...

~!~ Khudawanda ~!~


خداوندا تری مرضی
تو جو بھی امتحاں لے لے
نہیں ہم جانتے جن کو
انھی کا ہمسفر کردے
جو اس جیون سے پیارے ہوں
انھیں ہم سے جدا کر دے
تری مرضی خداوندا!
تو چاہے آگ پانی ہو
تو چاہے برف جلتی ہو
تو چاہے پھول چبھتے ہوں
تو چاہے خار خوشبو دیں
جسے چاہے بتا دے تو
محبت کس کو کہتے ہیں
جسے چاہے سکھا دے تو
عبادت کس کو کہتے ہیں
جسے چاہے ملا دے تو
جسے چاہے جدا کر دے
وہ جس نے غم نہ دیکھے ہوں
اسے غم آشنا کر دے
تری مرضی تو بن مانگے
سبھی کچھ ہی عطا کر دے
تری مرضی خداوندا
تو چاہے سب فنا کر دے
خداوندا تری مرضی
تو جو بھی امتحاں لے لے
ہمیں جس حال میں رکھے
فقط اتنی گذارش ہے
توجو بھی امتحاں لینا
ہمیں بس سرخرو کرنا

عاطف سعید

خداوندا تری مرضی تو جو بھی امتحاں لے لے نہیں ہم جانتے جن کو انھی کا ہمسفر کردے جو اس جیون سے پیارے ہوں انھیں ہم سے جدا کر دے تری مر...