~*~ Bahisht-e-gulab ~*~



Yeh wohi bahisht-e-gulab hai
Wohi kunj-e- wadi-e-khwab hai
Kal isi bahisht-e-gulab main, 
isi kunj-e- wadi-e-khwab mian
Mere dil ka dard ghazal hua
Mere harf harf main hall hua
Mera mas'ala, tera mas'ala..
Meri aarzoo, teri aarzoo
Woh nazar nazar ke mahawrey, 
woh nayi zaban main guftagoo
Is kunj-e-wadi-e-khwab mian
Meri rooh se teri rooh tak
Woh wafa ki ik nayi rehguzar
Woh yaqeen ka ik naya safar
Isi No bahisht-e-gulab main
Inhi surkh phoolon ke darmiyan
Isi farsh-e-sabza pe beth kar
Inhi ansoun ke najoom main
Inhi tayiron ke hujoom main
Sar-e-shaam ehd-e-wafa hua
Teri husn aur siwa hua
Mujhey kiya khabar thi ke khwab se mera koi risht-e-jaan nahi
Mujhey kiya khabar thi gulab se mere dil dil ka rang ayan nahi
Meri har bala terey sar gayi
Teri zulf-e-naz bikhar gayi
Tera haath haath se chut gaya
Main barey khuloos se lut gaya
Mere dil se mehv hui nahi
woh azeem yaad-e-wafa abhi
Mera khwab, mera gulab hai, 
woh qarardad-e-wafa abhi

~~~ Shabnam Roomani ~~~

کوئی تبصرے نہیں:

ایک تبصرہ شائع کریں