Woh shakhs jaise k jadoo gar ho
Phawaar lehje se dasht-e-dil pe
Woh jab bhi barsay
To khusk matti mein jaan daalay
Be'jaan paron mein urraan daalay
Woh jab bhi maathay pe haath rakhay
Mareez khud ko he bhool jaye
Bhula k ranj-o-alam saaray
Khushi se jaise k phool jaye
Woh shakhs jaise k jadoo gar ho
Woh muskuraye to laala-o-gul
Qaaben apni he noch daalen
Kali chatakna he bhool jaye
Ke bhanwara lehje mein loch daalay
Woh subk ro, aisa dil nasheen hai
Ke us k jaisa kaheen nahi hai
Yeh lafz kaise bayan karen ge
Hazaar rangon ka woh mujassam
Woh narm khoi woh dil'nawazi
Woh chup k lehje mein ek takallum
Woh shakhs jaise k jadoo gar ho
Azad Hussain Azad
کوئی تبصرے نہیں:
ایک تبصرہ شائع کریں