Un ki talash Asl main


کل تک جو کر رہے تھے بڑے حوصلے کی بات
ہے ان کے لب پہ آج کٹھن مرحلے کی بات

جس کارواں کے سامنے تارے نِگوں رہے
صحرا میں اُڑ گئی ہے اُسی قافلے کی بات

آخر سرِ غرور نے سجدہ کیا اسے
یوں مختصر ہوئی ہے بڑے فاصلے کی بات

راہِ طلب میں ہم سے کوئی بھول ہو گئی
کیوں کر رہے ہیں آپ ہمارے صِلے کی بات

ہم نے تو عرض کر ہی دیا حرفِ مدعا
اب آپ ہی کریں گے کسی فیصلے کی بات

اُن کی تلاش اصل میں اپنی تلاش ہے
کس سلسلے سے جا ملی کس سلسلے کی بات

واصف علی واصف

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Kal tak jo kar rahey they barey hosley ki baat
Hai un ke lab pe aaj kathin marhaley ki baat

Jis kaarwan ke samney tarey nigoon rahey
Sehra main urr gayi hai usi qaafley ki baat

Aakhir sar-e-ghuroor ne sajda kiya usey
Yun mukhtasir hui hai barey faasley ki baat

Rah-e-talab main ham se koi bhool ho gayi
Kyun kar rahey hain aap hamarey siley ki baat

Ham ne to arz kar hi diya harf-e-mudd'ua
Ab ap hi karain ge kisi faisle ki baat

Us ki taalash asl main apni talash hai
Kis silsiley se ja miliy kis silsiley ki baat

Wasif Ali Wasif

کوئی تبصرے نہیں:

ایک تبصرہ شائع کریں