Hawala (azadi)


 
Muhabat or kahaani mai koi rishta nhi hota
Magar meri Muhabat to..
kahani he kahani hai
Muhabat ki kahani hai
Koi raja na raani hai
Na shehzada shehzadi hai..
muhabat ki kahani to
Musaafat he Musaafat hai
Muhabat ki Musafat or
Zarort ki musafat mai
Musaafir waapsi k saary imkaan paas rakhta hai
Muhabat ki Musafat mai
Musaafir k palatne ka koi rasta nhe hota
wo saari kashtiyan apni
Jala dete hain sahil par
K na-umeed hone par
palatna bhi agar chahen
ot wapis ja nhe payen..
waheen garqaab ho jain
Muhabat ki kahani mai Musafat ki basharat thi..
Musafat tey howi to phr..
jala daali thi mai ne bhi
waheen sab kashtiyan apni..
Jahaan pehla parao tha
shikasta jism tha mera
mere seeney mai ghao tha..
bharakta ik alaaow tha
kesi ki chah mai sab kuch luta kr
aagaya tha mai
kahan par agaya tha mai?
jahaan pehchaan ka apni
hawaala he na milta tha
hawaadas k thapeero se
sanbhala he na milta tha
shab-e-tera se nikla tha
ujaalo ki tamanna mai
Magar mujh ko kisi janib
ujaala he na milta tha
magar himmat nhe haari
yahan tak aagaya hun mai..
jahaan har so-ujaala hai
meri pehchaan hai apni,watan mera hawala hai
Mujhe is ne sambhala hai
isay mai ne sambhala hai
yehi mera hawala hai
yehi Mera Hawala Hai...
 

  Muhabat or kahaani mai koi rishta nhi hota Magar meri Muhabat to.. kahani he kahani hai Muhabat ki kahani hai Koi raja ...